Sarpanch secretary GRS Sabhi Milkar Hamare gram ka Paisa nikal kar gavan kar Chuke aur Karya koi bhi nahin Hua aur inke khilaf koi karyvahi bhi nahin ho rahi hai
Hamare Gram Panchayat udhaupurwa mauganj mein Panchayat Bhavan ka Nirman Hona Tha Jise 2015 mein banane ke liye Rashi Puri nikal liya Gaya aur Karya Abhi Tak purn Nahin Ho Paya water tank proposal ka Paisa nikal liya Gaya GRS dwara abhi tak Koi Karya Nahin hua Hamara nivedan Hai Ki Is per karyvahi Jarur Ho Aur jisse gram ka Vikas hoga Humne bahut bar Awaaz uthai Dikhai Diya Magar Koi Labh Nahin hua aur vah pura Paisa khakar hajam kar chuke hain Hamara system hi kharab ho chuka hai Jise aap sudharna hoga Sarpanch secretary GRS engineer Sabhi bhrasht hai aur koi karyvahi nahin kar rahe to kya Vikas Hoga gaon ka
72
Mr sanjay nagchauri pandey ji
Baby Cockroach · 50 pts
Related Issues
Election Scam (SIR) 164 views सरकारी योजनाओं के फंड और विकास कार्यों में हेराफेरी 96 views सरकारी दफ्तरों में रिश्वतखोरी और लंबी कतारें 98 views Sir im 29 yr handicapped student from vijayawada. Requesting one mail to ministry of education from CJP mail address 127 views